Tum jab aaogi to khoya hua paogi mujhe,
Meri tanhaai mein khwabon ke siwa kuch bhi nahi;
Mere kamre ko sajane ki tamanna hai tumhein,
Mere kamre mein kitaabon ke siwa kuch bhi nahi;
In kitaabon ne bada zulm kiya hai mujh par,
In mein ek ramz hai jis ramz ka mara hua zehan;
Mushday-e-ishrat-e-anjaam nahi pa sakta,
Zindagi mein kabhi araam pa nahi sakta...

0 comments:
Post a Comment