Agar kabhi meri yaad aaye,
To chand raaton ki narm, dilgeer raushni mein,
Kisi sitarey ko dekh lena–
Agar who nakhl-e-falak se ud kar tumhare qadmon mein aa gire to,
Yeh jaan lena, woh iste'aara tha mere dil ka,
Agar na aaey...
Magar yeh mumkin hi kis tarha hai, keh tum kisi per nigaah dalo,
To us ki deewar-e-jaa’n na toote,
Woh apni hasti na bhool jaye!!!
Agar kabhi meri yaad aaye,
Gurez karti hawa ki lahro’n pe hath rakhna,
Main khushbuo’n mein tumhey miloo’nga–
Mujhey gulabon ki pattio’n mein talash karna,
Main os qatro’n kay aaino’n mein tumhe miloo’nga–
Agar sitaro’n mein, os qatro’n mein, khushbuo’n mein na pao mujhko,
To apne qadmo’n mein dekh lena,
Main gard hoti musafato’n mein tumhein miloo’nga–
Kahee’n yeh raushan charagh dekho to jaan lena,
Ke har patingey ke sath main bhi bikhar chuka hoo’n,
Tum apne haatho’n se un patingo’n ki khaak darya mein daal dena,
Main khaak ban kar samandaro’n mein safar karoo’ngaa–
Kisi na dekhe huey jazeerey pe ruk ke tum ko sadaayein dunga,
Samandaro’n ke safar pe niklo to us jazeerey pe bhi utarna...

0 comments:
Post a Comment