Ve sooratein ilaahi kis des bastiyan hain,
ve jinke dekhne ko aankhen tarastiyan hain;
Barsaat ka to mausam kabka guzar gaya hai,
Mishghan ki yeh ghatayein ab tak barastiyan hain;
Kyun kar na hoye zakhmi sheesha sa dil hamara,
Us shokh ki nigaahein patthar mein dhastiyan hain;
Qeemat mein inki go ham do jug to de chuke hain,
Us shokh ki nigaahein is par bhi sastiyan hain;
Jab main kaha yeh us se Sauda se apne mil ke,
Is baar tu hai saaqi aur mai-parastiyan hain!


0 comments:
Post a Comment