Chat-box

Saturday, November 13, 2010

Ashar Iqbal

Mere jazbaaton mein phir se woh rawaani aai,
Aaj phir yaad muhabbat ki kahaani aai;

Aaj phir neend ko aankhon se bichhadte dekha,
Aaj phir yaad koi chot purani aai;

Muddaton baad mayassar hua maa ka aanchal,
Muddaton baad hamein neend suhaani aai;

Muddaton baad chala un pe hamara jaadu,
Muddaton baad hamein baat banani aai;

Muddaton baad qareeb aaya hai darya mere,
Muddaton baad hamein pyaas bujhani aai;

Muddaton baad khuli vus'at-e-sahra hum par,
Muddaton baad hamein khaak udaani aai;

Itni aasaani se milti nahi fan ki daulat,
Dhal gai umr to ghazlon pe jawaani aai!!!

0 comments:

Post a Comment

Blog Archive

Vantage Point

My Photo

hmmm....

some other time mate cuz haven't got words rightaway!